1. Spirituality

Naaf Ka Tal Jana Abdominal Migraine

Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Naaf Ka Tal Jana ?
Aam Tor Par Migraine Ko Sir Ka Dard Mana Jata Hai Lekin Yeh Zaroori Nahi Ke Migraine Dard Sirf Sir Mein Ho . Yeh Dard Kisi Fard Ke Pait Mein Bhi Ho Sakta Hai. Is Waja Se Is Dard Ko Abdominal Migraine bhe Kaha Jata Hai . Is k ilawa Abdominal Migraine Ko Naaf Ka Tal Jana Bhi Kaha Jata Hai Lekin Medical Science Mein Naaf Ka Tal Jana Koi Bemari Nahi. Asal Mein Pait Ka Dard Shaqiqa Ki Bemari Aaj Samajh Mein Aayi Hai Lekin Zamana Qadeem Mein Usay Naaf Tal Jana Hi Mana Jata Tha Aur Is Ke Ilaj Ke Liye Rohani Tareeqa Ikhtiyar Kya Jata Tha Aur Aaj Bhi Naaf Ka Ilaj Ke Liye Bohat Se Log Dam Hi Kerwatay Hain . Yeh Dard Ziyada Tar Bachon Ko Mutasir Karta Hai Lekin Aksar Barray Bhi Is Dard Ka Shikaar Ho Jatay Hain. Yeh Dard Mamooli Bhi Ho Sakta Hai Aur Shadeed Bhi. Pait Ka Dard Shaqiqa Waqfay Waqfay Baad Hota Hai Aur Aam Tor Par Yeh Dard 72 Ghantay Tak Jari Rehta Hai . Uski Wajah Morosi Aur Maholiyati Awamil Ho Satke Hain. Is Ke Ilawa Zehni Tanao, Neend Ki Kami Aur Ghiza Ka Bohat Ziada Istemaal Is Dard Ki Wajah Ban Sakta Hai . Is Post Mein Hum Pait Ke Dard Shaqiqa Ki Alamaat, Wajohaat Aur Is Ka Sahih Rohani Ilaj Aap Se Share Kar Rahay Hain