Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Nazar Ki Dua For New Born Baby ?
New Born Bachay Ko Buri Nazar Aur Har Qisam Kay Bad Asraat Se Mehfooz Rakhna Be Had Zaroori Hota Hai. Kyunkay Bachay Bohat Naazuk Hotay Hain Aur Nazar Se Jaldi Mutasir Ho Jatay Hain. Har Walidain Ko Chahiye K Woh Bachay Ko Buri Nazar Se Bachanay K Liye Koi Nah Koi Rohani Amal Zaroor Karen. Bohat Se New Born Bachay Ko Hasad Aur Jalan K Sabab Bhi Nazar Lag Jati Hai Aur Ziyada Tar Bachay Aisi Aurton Ki Nazar Bad Ka Shikaar Hotay Hain Jo Be Aulaad Hoti Hain. Be Aulaad Khawateen Jab Kisi Bachay Ki Paidaiesh Ka Sunti Hain To Unhein Aulaad Se Mahroom Honay Ka Dukh Hota Hai Aur Woh La Shaori Tor Par Hasad Ka Shikaar Ho Kar New Born Bachay Ko Aur Us Ki Maa Ko Nazar Laga Deti Hain. Jis Ki Wajah Se Maa Aur Bachay Dono Ko Rohani Hifazat Ki Zaroorat Paish Aati Hai.
Be Aulad Khataween Kisi Ko Jan Bojh Kar Nazr Nahi Laghti . Aysi Nazre Khud Ba Bakhud Lagh Jati Hai , Issi Waja Se kisi Bhe Achi Aur Khoburat Cheez Dekhne k Baad Masha Allah Kehna Chayia Ta Wo Cheez Ya Insan Nazre Bad Se Mehfoz Ho jae .
Iss Post mein Ham Aap ko Aik Aysa Rohani Amal Bata Rahay Hain Jes ki Barkat Se Aap New Born Baby Ko Nazre Bad Se Hameesha Menfooz Rakh Saktay Hain .