Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Adhe Sar Ka Dard Kyu Hota Hai ?
Adhe Sar Ka Dard Asal Me Dard Shaqiqa Hai .Dard Shaqiqa Mein Mareez Apne Dimagh Kay Kisi Aik Hissay Mein Shadeed Dard Mehsoos Karta Hai. Lekin Dard Shaqeeqa Ki Wajah Se Mareez Kay Jism Kay Kisi Hissay Mein Bhi Dard Ho Sakta Hai Aur Is Dard Ki Wajah Dimagh Kay Asaab اعصاب Mein Hoti Hai. Bayan Kiye Gaye Nazriyaنظریے Par Tamam Mahireen مطفق Hain. Lekin Mahireen Kay Paas Aisay Shawahidشواہد Mojood Nahi Jo Kay Bayan Kiye Nazriya نظریے Ko Sach Saabit Karte Hon. Lehaza Adhe Sar Ka Dard Ki Sahih Wajohaat Kay Baray Mein Ilm Nahi Ho Saka. Lekin Khayaal Kiya Jata Hai. Kay Adhe Sar Ka Dard Ki Wajah Dimagh Kay Asaab Ki Kamzoree Aur Dimagh Ki Sharianon شریانوں Mein Khoon Kay Bahao Mein Kharabi Hai. Es Post Mein Hum Aap Se Kuch Aisay Awamil عوامل Aur Muharikaat محرکات Share Kar Rahay Hain Jo K Dard Shaqiqa Ya Adhe Sar Ka Dard Ki Wajah Ban Satke Hain.