Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Migraine Side Effects ?
Dard Shaqiqa Mehez Sar Dard Nahi Balkay Yeh Aik Paicheeda پیچیدہ Aasabi اعصابی Halat Hai Jo Ke Insani Jism Ke Kisi Bhi Hissay Ko Mutasir Kar Sakti Hai . Duniya Bhar Mein Be Shumaar Log Dard Shaqiqa Ka Shikaar Hain. Dard Shaqiqa Ki Be Shumaar Aqsam اقسام Hain. Dard Shaqiqa Ke Nuqsanaat Uski Aqsam Ki Bana Par Hotay Hain .Dard Shaqiqa Ke Har Mareez Ko Dard Shaqiqa Ki Wajah Se Mukhtalif Nuqsanaat Ka Samna Ho Sakta Hai . Dard Shaqiqa Chunkay Dimagh Ke Asaab Ki Shadeed Kamzore کمزوری Hai Lehaza Agar Mareez Kay Dimagh Ki Kisi Shariyan Mein Problam Aati Hai Is Shariyan شریان Ka Taluq Jism Ke Jis Hissay Se Hota Hai Woh Hissa Mutasir Ho Sakta Hai .Lehaza Zaroori Hai Kay Es K Nuqsanaat Ko Kam Karne Ke Liye Apni Tarz Zindagi Ko Badla Jaye Aur Doctor Se Bhi Is Ki Tashkhees تشخیص Aur Ilaj Kay Liye Rabita Kiya Jaye . Es Post Mein Hum Dard Shaqiqa Se Honay Walay Nuqsanaat Aap Ko Batayen Ghay Lehaza Es Post Ko Aakhir Tak Samajh Kar Parhen .