Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Vestibular Dard Shaqiqa ?
Vestibular Aik Hisi Nizaam نظام Hai Jis Kay Zariye Aik Insaan Apne Tawazunتوازن Ko Bar Qarar Rakh Paata Hai .Es Hisi Nizaam Ka Markaz Insaan Kay Androoni Kaan Mein Waqay Hai. Vestibular Nizaam Insani Dimagh Ko Pooray Jism Ki Position Kay Baray Mein Maloomat Faraham Karta Hai Jiski Wajah Se Insaani Dimagh Fard Kay Tawazun Ko Barqarar برقرار Rakh Paata Hai . Vestibular Nizaam Mein Kharabi Ki Wajah Se Fard Ko Aik Khaas Qisam Ka Dard Shaqiqa La-Haq Ho Jata Hai Jisay Vestibular Dard Shaqiqa Kehte Hain. Vestibular Dard Shaqiqa Mein Fard Apne Jism Ka Tawazun Bar Qarar Nahi Rakh Paata. Lehaza Vestibular Dard Shaqiqa Mein Mareez Aksar Larkhara لڑکھڑا Kar Gir Jata Hai . Es Post Mein Hum Aap Se Vestibular Dard Shaqiqa Ki Haqeeqat, Alamaat, Wajohaat Aur Is Ka Sahi Rohani Ilaaj Share Karen Gay .