Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

What is Migraine In Urdu ?
Migraine ko Urdu mein Dard e Shaqiqa kaha Jata Hai Aur Dard e Shaqiqa Dimagh Ke Asaab Ka Marz Hai. Jiski Wajah Se Mareez Ke Sar Ke Kisi Aik Hissay Mein Shadeed Dard Hota Hai .Darde Shaqiqa Mehez Dimagh Mein Honay Wala Dard Nahi Balkay Yeh Dard Jism Ke Kisi Bhi Hissay Mein Ho Sakta Hai .
Asal Mein Hamaray Pooray Jism Mein Asaab Ka Jaal Phela Hua Hai Aur Yeh Asaab Dimagh Ke Asaab Se Juray Huye Hain. Dimagh Un Asaab Ke Zariye Pooray Jism Ka Nizaam Control Karta Hai .Lehaza Agar Dimagh Ke Asaab Mein Khoon K Bahao Mein Tabdeeli Waqay Ho Jaye Tu Es Se Nah Sirf Dimagh Ke Us Hissay Mein Shadeed Dard Shuru Ho Jata Hai Balkay Dimagh Ka Yeh Hissa Jism Ke Jin Aaza اعضا Ko Control Karta Hai Woh Bhi Mutasir Hon Ghay . Aur Yahi Dard Shaqiqa Hai Jis Ka Koi Hatmi حتمی Ilaaj Nahi . Darde Shaqeeqa Ko Sirf Control Kya Ja Sakta Hai.