Disclaimer: This is a user generated content submitted by a member of the WriteUpCafe Community. The views and writings here reflect that of the author and not of WriteUpCafe. If you have any complaints regarding this post kindly report it to us.

Ocular Migraine?
Ocular Lateeni Ziyan Ke Lafz Se Akhaz Kya Gaya Hai Jiska Matlab Aankh Ke Hain . Ocular Lafz Aankh Ki Kisi Bhi Bemari Ko Wazay Karne Ke Liye Islaah Ke Tor Par Istimaal Kya Jata Hai . Aankh Se Mutaliq Bohat Si Problems ko Medical Science Ne Talaash Kar lia Hai Aur Aisi Hi Bimarion Mein Aik Bemari Ocular Migraine Hai .Ocular Migraine Ka Talluq Chunkay Insani Aankh Se Hai Is Liye Is Bemari Ko Basri Dard Shaqeeqa Ya retinal migraine Bhi Kaha Jata Hai .
Ocular Migraine Dard Shaqeeqa Ki Aik Qisam Hai Jis Mein Mareez Ki Aik Aankh Ki Basarat Waqti Tor Par Khatam Ho Jati Hai Aur Yeh Basarat 5 Minute Se Aik Ghantay Tak Moattal Rehti Hai . Hum Aasaan Alfaaz Mein Yeh Keh Satke Hain Ke Waqti Tor Par Mareez Ki Aik Aankh ki Basarat Ka Moattal Ho Jana Ocular Migraine Hai . Ocular Migraine Mein Mareez Ki Basarat Waqti Tor Par Moattal Hoti Hai Aur Is Ki Wajah Retina mein Khoon Ke Bahao Mein Tabdeeli Ho Sakti Hai . Yaad Rahay Ke Zaroori Nahi Ke Ocular Migraine Ke Mareez Ke Sir Mein Dard Ho Ocular Migraine Ke Ziada Tar Mareezon Mein Sir Dard Nahi Hota .Is Post Mein Hum Ocular Migraine Ki Haqeeqat, Alamaat, Wajohaat Aur Is Ka Sahih Rohani Ilaj Aap Se Share kya Gya Hai .

Login

Welcome to WriteUpCafe Community

Join our community to engage with fellow bloggers and increase the visibility of your blog.
Join WriteUpCafe